FATHER SAAB LYRICS – KING | AMIT BHADANA
Song : Father Saab
Lyrics by: King
Singer: King, Amit Bhadana
Composer: Section8
Father Saab Lyrics by King and Amit Bhadana is latest Punjabi song with music given by Section8. Father Saab song lyrics are written by King and video is directed by Teji Sandhu.
Father Saab Lyrics
Re bapu toone sikhaya
Jo kabhi bhoola nai
Ghalti na ho to
Suraj ki aakhon mein taad le
Jahan ko pade woh kadam rukte nai
Soch aisi ho chattanon ka bhi
Seena paad de
Logon se tere ghutne
Ajj tak teke nai gaye
Kyunki aison se kabhi
Ghamand ke kapde phenke ni gaye
Aur jo data re akhiri saans tak
Woh sathi hota hai
Ho sach ka ghada bhi
Ek anek mein beta kaafi hota hai
Aur jo hak ke liye lade sabse Woh baap hi hota hai
Peeth pe chadh ke duniya dikhe jiske
Woh baap hi hota hai
Aur jo daante chahe maare
Par dil ka saaf hota hai
Zyada fikar na kare zamane ki
Woh baap hi hota hai
Bapu teri khoobi saari
Mujhmein sama rakhi
Ho tere jaisi maine Izzat kama rakhi
Ho jab faraz uthaya
Jimmedariyon ka tab se hi
Dukhi maine kabhi nahi maa rakhi
Woh roz mujhmein teri chhavi
Dekha karti bapu
Parchhaiyan sheron ki kahan marti
Ek wajah hoti hai jo jeene ki bapu
Woh maa ki aakhon mein dikha karti
Tu nahi duniya mein
Par teri baat rahe
Rampaal fauji ke poton ki
Poori thaath rahe
Ho rakh ke hath jo sar pe
Mita de gamm saare
Baap hi hota hai
Sahi aur ghalat mein farak batave
Aisa baap hi hota hai
Aur jo daante chahe maare
Par dil ka saaf hota hai
Zyada fikar na kare zamane ki
Woh baap hi hota hai
Re bapu aankh mein le asmaan se
Jab jab chehra tera dikhta hai
Main roz ladun tufaan se banda
Thear kahan khinchta hai
Main roz puchhun bhagwan se
Kyun tu sath nahi dikhta hai
Tu taras hi khaa ke jagah bata de
Khwab jahan bikta hai
Kyun na wahin se hi jaake
Main khareed loon
Mujhe maange se pyar milta nahi
Par tera hi diya hua sab rakha
Bhole bas mujhe baap dikhta nahi
Aaj tere bina bhi main
Teri hi nazron se duniya dekhta hoon
Main aaj bhi tere na hone ka dukh
Ek hasste huye chehre se lapet’ta hoon
Bapu teri duayein
Kuchh is tarah mere sath hain
Aaj dharti pe khada hoke main
Poore ka poora asmaan samet’ta hoon
Bapu bapu bapu bapu
Aur jo daante chahe maare
Par dil ka saaf hota hai
Zyada fikar na kare zamane ki
Woh baap hi hota hai
0 Comments